Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Mere
TU Kahan Hai Magar, Ay Dost Puraanay Mere ?
TU Bhi Khushbu Hai Magar Mera Tajassus Bekaar
Barq-e-Avaara Ki Manind Thikhane Mere
Shama Ki Lau Thi Ke Wo TU Tha Magar Hijr Ki Raat
Dair Tak Rota Raha Koi Sirhaane Mere
Khalq Ki Bekhabri Hai Ke Meri Rusvaai
Loog Mujh Ko Sunate Hain Fasaane Mere
Lut Ke Bhi Khush Hun Ashkon Se Bhara Hai Daman
Dekh Ghaarat-e-Dil Ye Bhi Khazane Mere
Aaj Ek Aur Baras Beet Gaya Os Ke Bagair
Jis Ke Hote Hue Hote Thay Zamane Mere
Kash TU Bhi Meri Aavaaz Sunta Ho
Phir Pukara Hai Tujhe Dil Ki Sadaa Ne Mere
Kash TU Bhi Kabhi Ajaye Masihai Ko
Loog Aate Hain Bohat Dil Ko Dukhane Mere
Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi Keh Sakta
Baat Sun Li Hai Meri Aaj Khuda Ne Mere
TU Hai Kis Haal Main Ay Zud Faraamosh Mere
Mujh Ko Tou Chhin Liya Ehd-e-Vafa Ne Mere
Charagar Tou Bohat Hain Magar Ay Jaan-e-“Faraz”
Juz Tere Aur Koi Gham Na Jane Mere